Category Archives: Orkut Poetry Scraps
Ankhon Mein Tere Dekhate Hi
Hum Apni Pehachan Bhool Gaye
Jane Kya Nasha Hai Unmein
Ki Har Mykhane Kaa Pata Bhool Gaye

Woh jo shayer tha, chup sa rehta tha
behki behki si baatein karta tha
aankhein kaano pe rakh k sunta tha
goongi khamoshiyon ki aawazein
jama karta tha chaand k saaye
aur geeli si noor ki boondein
rookhe rookhe se raat k……
Gham ke lamhaat ko aaraam bhara pal kar do
Tum jo chaaho to amangal ko bhi mangal kar do
Thal karo jal ko kabhi, jal ko kabhi thal kar do
Main to ye chaah raha hoon mujhe paagal kar do
Nargisi aankhon main ban jaaye yunhi ghar mera
Is qadar mujhko jala daalo ke kaajal kar do
Tum ghata ban ke baras jaao zameen-e-dil par
Aisa barso ke meri rooh ko jal thal kar do
Baat hai tark-e-ta-alluq ki to ye bhi ho jaaye
Kahan rakkha hai mire dil ko chalo chal kar do
Main faqiri main tumhein shaah kiye deta hoon
Kar sako tum to mire taat ko makhmal kar do
Behisi taari hai “Waquif” pe Khuda ki khatir
Shokhiyaan apni dikha ka ise chanchal kar do
Maanta Hun Ki Zindagi Bhi Tadpati Hai
Par Mohabbat Toh Jeena Sikhati Hai
Zindagi Mohabbat Nahi Ho Sakti Kabhi
Par Mohabbat Zindagi Ban Jaati Hai
Aap Jo Khawab Ki Duniya Lekar Aaye The
Ankh Khulte Hi Woh Duniya Kahin Nahi Paye
Raaste Me Jo Kaante Bikre The
Usse Chah Kar B Hum Choo Nahi Paye

Usne kaha tha
tum woh shajar ho
jiski shaakhein tapti dhoop mein
shabnam shabnam saya saya phel rahi hain
jaise zaat ki pehnayi ho…..
Istefsaar kiya na karo mujhse mere haal par
Tanhaa Ghaur karne bhi do apne malaal par
Jab jab chehra apna dikhaata houn aaine ko
ThappaR lagaata hai mera aks apne gaal par
Ansoo khoon ke rulaaya zindagi ne mujh ko
Kuch daag paDe hein mere kissi rumaal par
Bastaa houn ab talak unn ke khayaalon main
Hansi bahout hi aati hai apne iss khayaal par
Ji chahataa hai puuch hi lun unn se woh baat
Shaayad woh ruuth jaayegi mere sawaal par
Saare asmaan se behtar apna do gaz zameen
Aaz kabhi kiya nahin karte paraaye maal par
Jo bhi aata hai jaana paDega usse ‘Amanush ’
Khudaa ke siwaa zabt kissi ka nahin kaal par
Mere baad phool na rakhna mere mazaar par
Phool jyaadaa acche lagte hein apne Daal par

Yeh zabt chhoot gaya to
tumhari yaad aayi
main thak k toot gaya to
tumhari yaad aayi
tumhare baar na tha koi mera
dil k siwa
yeh dil b rooth gaya to
tumhari yaad aayi….
